FAVORITE'S

  • Ghurbat ne sikha di hai mere bachon ko tehzeeb, Sehmay huye rehte hain, Shararat nahin karte...
  • kon kisse kitna mukhlis hai'fahad',.....waqt sabki auqat bata deta hai...
  • Wo Mil Jaye Mujhe To Youn Samjhon Ga, Jannat Ka Elaan Ho Jesy Kisi Gunahgar Ke Liye..
  • ek roz humne khuda se dua kari ki aye khuda merey dushman mujhse door kardey..........dekhtey hi dekhtey mere saare dost mujhse door hotey chale gaye...
  • Kisi k 1 aanso per hazaron dil tarap uthtay hen kisi ka umer bher rona unhi bekar jata he...
  • Ik UMer Hai k Betaani Hai Teray Beghair Ik Lamha Hai k Teray Bin Guzara Nahin Jata...
  • Ik muhabat ka mashghala le kr, Zindagi khoob ki tabaah hum ne.
  • Aankhon ka rang, baat ka lahjaa badal gaya... woh shakhs ek shaam mein kitna badal gaya. Kuchh din to mera aks raha aaine pe naqsh... phir yun hua kay khud mera chehra badal gaya. Jab apne-apne haal pe hum tum na reh sake... to kya hua jo humse ...
  • Main Zamana Mein Badnaam Faqat Es Liya Hoon . . . Mujhay Logon Ki Tarah Badal Jana Nahi Aata . . .
  • Fana na kar apni zindagi ko raah-e-junoon me ae jawan… Tab karega ibaadat jab gunaah karne ki taakat na hogi..
  • Log padh lete hain Aankhon se Dil ki baat..”Faraz’ Ab muJhse tere ghum ki hifazat nahi hoti…..!
  • Ek bar bhigi aankhon ne Dil se shikayat ki, ""Aansuon ka bojh sirf hum hi kyun uthayen .?????"" Dil ne muskurate hue jawab diya, ""Sapne kisne dekhe the""
  • "Apno ne bhii na soocha k ujroon ga to kidhar jaoon ga"..... "Aashyana jin ka na hoo wo parinday aksar mar jaya karte hain"...
  • saari duniya main taqseem tum apna waqt karte hò sirf mere liye tum kò kòi lamha nahin milta silent msg fròm N A M A Z
  • Jaa tujhy tery haal py chora ! Is sy behtr teri saza bhi nahi...
  • Yon to hum dono me hain kitne zamane hael,Tum bulate ho lamhe me palat ata hon...
  • Humen bhi apni tabahi pe ranj hota hai,Hamare haal e preshan pe muskurao nahin.…
  • Ye rakh rakhao sikha gai us ko,Wo roth kar bhi muje muskara k milta hai.…
  • sawaal-e-wazood roz ubhartaa hai mujhme, sadiyon se jaane kaun giraftaa hai mujhme. har waqt ugaltaa hooN chubhtaa huaa dhuaaN, tezaab-e-naseehat kyoN ubaltaa hai mujhme. jale hai koee chita pe liye beshikan chehraa, koee soz-e-dil hi se tadaptaa ...
  • na baaton se baatein banaaya karo, koee poochey tabhi kuchh bataaya karo. wazn jhel saktey ho uska agar, to mud'da bazm mein uthaya karo. jo ghar mein kisee ko bulaya hai to, dil apne ko pehley sajaya karo. musafir safar ke yahan hain sabhee, ...
  • hasrat nahi rahi ki wo haasil nahi raha,ye or baat hai wo mere qaabil nahi raha...
  • Hmain b aa para hai Doston se kaam kuch, Matlab Hamary Doston key Bewafa hony ka waqt aya ...
  • Wo ker nahi raha tha meri baat ka yaqeen Phir yun hua k Marr k dikhana para mujhy...
  • Jab Main Dooba To Samandar Ko Bhi Hairat Hui Mujh Par, Kitana Azeeb Tanha Shaksh Hai Kisi Ko Pukarata Hi Nahin...
  • wo rootha tu hum bhi chup rahaye ek baar mana lete tu roz khafa hota..
  • Khushk Honton Se Hua Krti Hen Meethi Baatain Mohsin….! Pyaas Bujh Jaye Tu Lehjey b Badal Jaty Hen…!!!
  • Kitni Dilkash Hay Us Ki Khamoshi Saari Batein Fazool Hon Jaisay !!!
  • Tu ny hi kia tha mohobat ki kashti mein sawar, Ab ankhen na chura muje doobta bhi dekh...
  • har aadami me hote hai das beees aadami, jis aadami ko dekhiyee kai baar dekhiye….
  • Ek wo waqt k tere hoty dunya thi apni, Ek yeh waqt k sari dunya mein tanha hain hum..
  • Dekho Gay Tou Mil Jayeingi Har Moor Pe Laashein, Dhoondo Gay Tou Iss Sheher Main Qaatil Na Milega…
  • Pehli Mulaqaat Thi Aur Hum Dono He Be Bass Thay Wo Zulfain Na Sambhal Paye Aur Hum Khud Ko...
  • Ek tamanna si hai iss maayoos dil ki kash, Aaj aansoo ke sath har khwaab bhi beh jaye...
  • Phir palat rahi hain sardion ki suhaani ratain, Phir uski yaad mein jalnay k zamany aye...
  • Najanay kya kaha tha doobnay wale ne samadar se, Ke lehrain aj tk sahil pe apna sir patakhti hain..
  • Wo tujh ko bhoolay hn, to tuj pay bhe lazim hai,… Khaak daal, aag lagaa, naam na lay, yad na kr…
  • zindagii yun huii basar tanhaa, qaafilaa saath aur safar tanhaa...
  • Ek nigah se hum khareed lein unhe, jinhe bara naaz hai k woh bikte nahi..
  • e wafa ki sakht rahein, ye tumhary pao’n nazuk…. Na lo intiqaam mujh se, mere sath sath chal ke…
  • Mujhay Itna Na Yaad Aao Ke Khud Ko Tum Samaj Bethun Mujhay Ehsaas Rehne Do, Meri Apni Bhi Hasti Hai..!
  • Wo parinda jisay apni he pervaaz sy furset na thi …. Aj tenha hova to mri he dewaar py a betha...
  • maut kaa bhii ilaaj ho shaayad zindagii kaa ko_ii ilaaj nahii...
  • Nafz jo dekhi to ek lamha sochkar, Kaaghaz liya or ishq ka beemar likh diya...
  • Ajeeb lutf araha tha didaar ki dillagi main, Ki nazrein bhi mujh par thi aur parda bhi mujh se tha...
  • lamhaat-e-yaad-e-yaar ko sarf-e-duaa na kar aate hain zindagii mein ye aalam kabhii kabhii..
  • vo aaye hain meri laash par ab tujhe ai zindagii laauun kahaan se...
  • ujaale apanii yaado.n ke hamaare saath rahane do na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaaye .....
  • Yeh jabr bhi dekha hai taareekh ki nazron ne, Lamhon ne khata ki thi sadiyon ne sazaa payi.
  • Ki mohabbat tou seyasat ke chalan chorr diye Hum pyaar na karte tou hakoomat karte.........
  • Ehsaas Na Kar In Jazboon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin, Jeena Bhi Mujhay Dushwar Lagay, Itna Tou Nazar-Andaz Na Kar.
  • Ajeeb kashmakash mein thi zindgi ki jaan kisko dein???, Wo bhi a baidey they or maut bhi...
  • Kabhi mila waqt to teri zulfein suljha dunga, Aaj uljha hun zara waqt ko suljhaney mein...
  • Chehrey se tapakta gussa aankhon se chalakta pyar bhi hai, Is shok-e-ada ko kya kahiye inkaar bhi hai izhaar bhi hai...
  • Hasrat nahi rahi ki wo haasil nahi raha, Ye or baat hai wo merey qaabil nahi raha...
  • ajJ jisky janazay me hai pura shehr shareek..... wo bechara mar gya tha tanhai kay ghum sy...!!!!

4 comments:

  1. nice shayri . i also write on few informativ topic my link
    http://hunnychauhan123.blogspot.in/2015/06/light-of-knowledge.html

    ReplyDelete
  2. nice shayri . i also write on few informativ topic my link
    http://hunnychauhan123.blogspot.in/2015/06/light-of-knowledge.html

    ReplyDelete